Sab toh hai ....sabkuchh hai , fir bhi kiyon mahsoosh hota hai kareeb walon se ye duriyaan. sath rah ke bhi nazdeekiyan tanhayee mein badal rahi hai. Apna paraaye se lag rahe hai.... log badal rahe hai ya main, kiyon ye prasna pichha hi nhi chhorti...
sath rahna or sath jeena do alag baat hai or sath rahke sath-sath jeevan jeena ye alag baat hai... na shart hongi , na hi roktok, nahi koi judg kare.......... sirf hal hi toh nikal na hai paresaniyon ka ...fir bhi itna takrao itna manmotao kis baat ki ... samassya ayi hai toh hum baat kar ke suljha bhi toh sakte hai, nah ki ek duje se takrake...... in sab ke bich ek duje ke liye jo sanmaan or pyar kahi na kahi dumm tod deti hai..... aant me ye samajh aate aate bohot der ho chuki hoti hai.
apki nupur
No comments:
Post a Comment